sang ho ya aa.ina sab ki kahani ek hai
aag sab ki ek hai aur sab ka paani ek hai
kuchh haqiqat-ashna hain ab bhi go thoḌe sahi
is na.i duniya men bhi duniya purani ek hai
qalb aur ehsas se yaksan hai sab ka silsila
hon junun vaale kahin bhi rajdhani ek hai
hakiman-e-ahd-e-nau sab maslahat ke hain ghulam
ho kahin ka koi raaja sab ki raani ek hai
koi hans kar chashm nam hai koi ro kar tar-ba-tar
aankh har ik ki juda hai sab ka paani ek hai
jur.at-e-iz.har hi napaid hai jaise ‘nihal’
sab zaban rakhte hain sab ki be-zabani ek hai
Leave a Reply