ajiib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun
main us ke ḳhvab men bedar rahna chahta hun
ye mauj-e-taza miri tishnagi ka vahm sahi
main is sarab men sarshar rahna chahta hun
siyah chashm miri vahshaton pe tanz na kar
main qatilon se ḳhabar-dar rahna chahta hun
ye dard hi mira chara hai tum ko kya ma.alum
haTao haath main bimar rahna chahta hun
idhar bhi aa.egi shayad vo shah-banu-e-shahr
ye soch kar sar-e-bazar rahna chahta hun
hava gulab ko chhu kar guzarti rahti hai
so main bhi itna gunahgar rahna chahta hun
Leave a Reply