kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai
kaha maan ki duaon men baḌi tasir hoti hai
kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki ḳhamoshi
kaha us ḳhamushi men bhi to ik taqrir hoti hai
kaha main ne ki ranj-e-be-makani kab satata hai
kaha jab maqbare ya qasr ki ta.amir hoti hai
kaha main ne hisar-e-zat men ye nafs ki duniya
javab aaya ki sab kuchh haar kar tasḳhir hoti hai
kaha ye ḳhvahish-o-targhib aur ye ḳhuun ke rishte
kaha zindaniyon ke paanv men zanjir hoti hai
kaha vo jo savali aankh ki putli pe likkhi thi
kaha sab se mo.assir to vahi tahrir hoti hai
kaha ahl-e-ḳhirad ‘anjum’ tumhen be-kar kahte hain
kaha sikke ki apne des men tauqir hoti hai
Leave a Reply