main kya karun yahin karna hai intizar mujhe
isi jagah to mila tha vo pahli baar mujhe
bisat-e-zist pe baazi palaT bhi sakti hai
tira nasib jo mil jaa.e musta.ar mujhe
usi ne mujh ko bana kar sipurd tere kiya
zara saliqe se ai zindagi guzar mujhe
bina lagam ke baiTha diya hai malik ne
tu ḳhvah-maḳhvah samajhta hai shahsavar mujhe
ḳhata muaaf ho is ki bhi kya zarurat thi
bara.e naam jo baḳhsha hai iḳhtiyar mujhe
talash-e-rizq men ghar se nahin nikalta agar
to karna paḌta mayassar pe inhisar mujhe
tu ai zamir jahan mujh ko le ke baiTha hai
usi maqam pe rakhiyo tu barqarar mujhe
qasam na kha tiri fitrat se ḳhuub vaqif huun
hai teri va.ada-ḳhilafi ka e’tibar mujhe
ye zindagi jo kahin chain se nahin guzri
tamam umr rahi fikr-e-rozgar mujhe
main in ḳhalaon men gumnam ho na ja.un kahin
uruj-e-fan miri dahliz par utaar mujhe
Leave a Reply