dhuup men saa.e se bichhḌa to nahin ja sakta
phir bhi is dil se ye Dar sa to nahin ja sakta
jis ki divar kisi vaqt bhi gir sakti ho
yaar us kamre men Thahra to nahin ja sakta
ruuh aur jism ke jhagḌon se hai taklif magar
ruuh aur jism ko banTa to nahin ja sakta
apne hamsa.e se raghbat to hamen hai lekin
der tak dhuup men baiTha to nahin ja sakta
koi ummid nahin panchhiyon ke aane ki
phir bhi us peḌ ko kaaTa to nahin ja sakta
Leave a Reply