Junun Ki Sarparasti Chahti Hai

junūñ kī sarparastī chāhtī hai

baġhāvat ab bulandī chāhtī hai

bhulā kar farq sab achchhe bure kā

ye duniyā bas taraqqī chāhtī hai

mareñ hindū musalmāñ būḌhe bachche

siyāsat sirf kursī chāhtī hai

takabbur nā-gavārī kā sabab hai

ibādat ājizī bhī chāhtī hai

faqat va.adoñ se ye bujhtī nahīñ hai

shikam kī aag roTī chāhtī hai

ye chingārī siyāsat kī vatan meñ

tabāhī hī tabāhī chāhtī hai

use ‘mashkūr’ hai merī tamannā

magar sab kī vo marzī chāhtī hai

Leave a Comment