sitam karo na karo ikhtiyar baaqi hai
jo ham nahin to hamara mazar baaqi hai
gai bahar magar apni be-khudi hai vahi
samajh raha huun ki ab tak bahar baaqi hai
hazar marhala-e-intizar tai bhi hue
hazar marhala-e-intizar baaqi hai
shikast-e-tauba hai aisi savab men dakhil
abhi se tauba ‘mubarak’ bahar baaqi hai
Leave a Reply