• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Jo Ham-Rahi Ka Ghurur Tha Wo Sawad-E-Rah Mein Jal-Bujha

Wo Jo Ham-Rahi Ka Ghurur Tha Wo Sawad-E-Rah Mein Jal-Bujha

vo jo ham-rahi ka ghurur tha vo savad-e-rah men jal-bujha

tu hava ke ishq men ghul gaya main zamin ki chaah men jal-bujha

ye jo shaḳh-e-lab pe hujum-e-rang-e-sada khila hai gali gali

kahin koi sho.ala-e-be-nava kisi qatl-gah men jal-bujha

jo kitab-e-ishq ke baab the tiri dastaras men bikhar ga.e

vo jo ahd-nama-e-ḳhvab tha vo miri nigah men jal-bujha

hamen yaad ho to suna.en bhi zara dhyan ho to bata.en bhi

ki vo dil jo mahram-e-raz tha kahan rasm-o-rah men jal-bujha

kahin be-niyazi ki laag men kahin ehtiyat ki aag men

tujhe meri koi ḳhabar bhi hai mire ḳhair-ḳhvah main jal-bujha

miri raakh se na.i raushni ki hikayaton ko sameT le

main charagh-e-sub.h-e-visal tha tiri ḳhema-gah men jal-bujha

vo jo harf-e-taza-misal the unhen jab se tu ne bhula diya

tiri bazm-e-naz ka bankpan kisi ḳhanqah men jal-bujha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-faraz

Kali diwar

poet

Kya Koi Mere Gham Main Raat Bhar taDapta Hai

poet

Maut Bhi Aati Nahin Hijr Ke Bimaron Ko

Surur-Afza Hui aaKHir Sharab Aahista Aahista

ahmad-kamran

Ye Jo Bedar dikhai diya Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet