zindagi se umr-bhar tak chalne ka va.ada kiya
ai miri kambaḳht sanso haa.e tum ne kya kiya
ibtida-e-hosh se achchha-bhala patthar tha main
ik nazar bas dekh kar tu ne mujhe dariya kiya
ek bas ḳhamosh se lamhe ki ḳhvahish hi to thi
aur usi ḳhvahish ne lekin shor phir kitna kiya
lutf ab dene lagi hai ye udasi bhi mujhe
shukriya tera ki tu ne jo kiya achchha kiya
sochta huun kaun se ilzam aur ab rah ga.e
haan tujhe chaha tujhe puuja tira sajda kiya
di nahin tasvir apni tu ne divane ko jab
yuun kiya vallah us ne ḳhud ko hi tujh sa kiya
kab talak aḳhir ye sahti rahti ḳhvabon ki tapish
tang aa kar niind ne palkon se lo tauba kiya
Leave a Reply