jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz
kategi meri paanv ki zanjir kya namaz
bandon ka to ye haal hai leti nahin salam
kyuun kar kahun qubul karega khuda namaz
bu-e-riya har ek gul-e-boriya men hai
duniya ki ghar ka farsh hai zahid ki ja-namaz
roza hamari faqa-kashi ka namuna hai
apni farotani ka hi ik partava namaz
fariyad kar raha huun do-vaqti azaan nahin
taklif mujh ko deti hain subh-o-masa namaz
mina-e-mai imaam ho mamum rind hon
hasrat hai panch vaqt ki ho yuun ada namaz
saare nuqush sangi-e-gul-ha-e-bagh-e-khuld
jis boriye pe main ne padhi be-riya namaz
masti men laghzish apni ruku-o-sujud hai
nikle jo mai-kade se to hogi qaza namaz
jaate hain girte padte hue rah-e-shauq men
kya janen ham tariq hai kya aur kya namaz
la-taqrabussalat isi amr par hai nahin
pi kar mai-e-ghurur na padh vaiza namaz
allah de jo niyyat-e-khalis huzur-e-qalb
phir arsh sajda-gah hai kursi hai ja-namaz
har dam jihad-e-nafs men takbir hai buland
sar par hai tegh-e-jabr magar hai bapa namaz
daman-e-tar ki lo khabar ai zahidan-e-khushk
is jama-e-najis se nahin hai rava namaz
hai iztirab faaqe men uth baith bahr-e-qut
zahid kuja o roza kuja o kuja namaz
tir-o-kaman hain us ke qiyam-o-rukua ‘bahr’
ik din udaegi hadaf-e-muddaa namaz
Leave a Reply