ab-o-hava to aa na saki iḳhtiyar men
kaghaz ke phuul ham ne saja.e bahar men
gahra.iyon se dil ki ubharta hai harf harf
tafsil kam nahin hai mire iḳhtisar men
ehsas kiya dila.en ham apne vajud ka
ham se na-jane kitne lage hain qatar men
ham kar rahe hain talḳh haqiqat ka samna
ye jante hue ki sukun hai farar men
ye aur baat hai ki ye sadma bhi sah ga.e
varna to dukh bala ka hua apni haar men
Leave a Reply