safar ka lutf musalsal safar ke ba.ad aaya
ye sang-e-mil miri rahguzar ke ba.ad aaya
lahu jalata raha main charagh-e-fan ke liye
hunar men husn riyaz-e-hunar ke ba.ad aaya
umid-e-jashn-e-charaghan mata.a-e-tira-shabi
shu.ur us ko shikast-e-hunar ke ba.ad aaya
umid-var the dastar-e-afiyat ke sabhi
junun ko hosh magar mere sar ke ba.ad aaya
kise hai taab ke dekhe ye manzar-e-hairat
mira maqam jo ahl-e-nazar ke ba.ad aaya
asir-e-tira-shabi ho ke rah gaya tha ‘shan’
yaqin-e-puḳhta guman ki sahar ke ba.ad aaya
Leave a Reply