ab masafat men to aram nahin aa sakta
ye sitara bhi mire kaam nahin aa sakta
ye miri saltanat-e-ḳhvab hai abad raho
is ke andar koi bahram nahin aa sakta
jaane khilte hue phulon ko ḳhabar hai ki nahin
baagh men koi siyah-fam nahin aa sakta
har hava-ḳhvah ye kahta tha ki mahfuz huun main
bujhne valon men mira naam nahin aa sakta
main jinhen yaad huun ab tak yahi kahte honge
shahzada kabhi nakam nahin aa sakta
Dar hi lagta hai ki raste men na rah ja.un kahin
kahlava dijiye men shaam nahin aa sakta
Leave a Reply