• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git

Hindustani Bachchon Ka Qaumi Git

allama-iqbal

chishti ne jis zamin men paigham-e-haq sunaya

nanak ne jis chaman men vahdat ka giit gaaya

tatariyon ne jis ko apna vatan banaya

jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhudaya

mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai

yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha

saare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha

mitti ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha

turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha

mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai

tuute the jo sitare faras ke asman se

phir taab de ke jis ne chamkae kahkashan se

vahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se

mir-e-arab ko aai thandi hava jahan se

mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai

bande kalim jis ke parbat jahan ke siina

nuh-e-nabi ka aa kar thahra jahan safina

rifat hai jis zamin ki bam-e-falak ka ziina

jannat ki zindagi hai jis ki faza men jiina

mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dho Gai Chehron Se Gard Yas Ka Ghaza Hawa

Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche palaT Aaenge

Harim-E-Lafz Mein Kis Darja Be-Adab Nikla

Aankhon Aankhon Mein Baat Hone Lagi

meer-hasan

Aankhon Se Khun Apne Ye Kahta Nahin Na Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet