kiye qarar magar be-qarar hi rakkha
hamen to aap ne ummid-var hi rakkha
pas-e-fana bhi falak ne ghubar hi rakkha
na rakkhi ḳhaak na sang-e-mazar hi rakkha
kisi ke dard-e-juda.i ne ham ko jiite ji
misal-e-abr-e-siyah ashk-bar hi rakkha
main tegh-e-yar ka kyuun kar na dam bharun jis ne
maze ḳhalish ke diye dil-figar hi rakkha
mila na chain kabhi ham ko ḳhaak ho kar bhi
falak ne dosh-e-saba par savar hi rakkha
ḳhayal-e-ariz-e-rangin ne roz aa aa kar
ḳhizan men bhi hamen mahv-e-bahar hi rakkha
kisi ki chashm-e-mukayyaf ne kiya kahin ‘nadir’
tamam umr hamen bada-ḳhvar hi rakkha
Leave a Reply