Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Pyar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

kabhī ham meñ tum meñ bhī pyaar thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

na kisī ke dil meñ ġhubār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

ye chalī hai kaisī havā ki ab nahīñ khilte phuul milāp ke

kabhī daur-e-fasl-e-bahār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

thiiñ baham nashāt kī mahfileñ thiiñ qadam meñ lutf kī manzileñ

baḌā zindagī pe nikhār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

thī har ek baat meñ chāshnī haq-o-sidq-o-lutf-o-ḳhulūs kī

rah-e-haq pe chalnā shi.ār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

hue laḌ ke ham se agar judā rakhī aur mulk kī ik banā

ye tumhīñ kā shauq-e-farār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

huī jañg-o-harab kī ibtidā to batāo bas yahī ik patā

koī tum meñ nañg-e-vaqār thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

Leave a Comment