
Aziz Hamid Madni
haram ka a.ina barson se dhundla bhi hai hairan bhi
ik afsun-e-barahman hai ki paida bhi hai pinhan bhi
na ja ai naḳhuda dariya ki ahista-ḳhirami par
isi dariya men ḳhvabida hai mauj-e-tund jaulan bhi
kamal-e-jan-nisari ho ga.i hai ḳhaak parvana
use iksir bhi kahte hain aur ḳhak-e-pareshan bhi
vida-e-shab bhi hai aur sham.a par ik bankpan bhi hai
hadis-e-shauq bhi hai qissa-e-umr-e-gurezan bhi
na aa.i yaad teri ye bhi mausam ka taghayyur tha
ye kusht-e-shauq thi parvarda-ha-e-bad-o-baran bhi
ye duniya hai to kya ai ham-nafas tafsir-e-gham kiije
vahi adab-e-mahfil bhi vahi adab-e-zindan bhi
shua-e-mehr hai ya iltizam-e-zaḳhm-o-marham hai
ye dagh-e-lala bhi hai sho.la-e-la.al-e-badaḳhshan bhi

Leave a Reply