Sarhad-E-Fana Tak Bhi Tirgi Nahin Aai

sarhad-e-fanā tak bhī tīrgī nahīñ aa.ī

yuuñ bhī raas añdheroñ kī zindagī nahīñ aa.ī

tum sharāb pī kar bhī hosh-mand rahte ho

jaane kyuuñ mujhe aisī mai-kashī nahīñ aa.ī

jis kī bhī tabāhī ho kuchh asar to rakhtī hai

aaj merī hālat par kyuuñ hañsī nahīñ aa.ī

aur bhī daraḳhshāñ ho ai mire na.e sūraj

ab bhī mere āñgan meñ raushnī nahīñ aa.ī

rahravān-e-dānish kī zindagī batātī hai

kaam kin manāzil meñ āgahī nahīñ aa.ī

log chaar hī din meñ ban ga.e ‘salām’ ai dil

aur ḳhud mujhe ab tak shā.erī nahīñ aa.ī

Leave a Comment