gulon ki samt bhanvaron se ziyada kaun dekhega
ruḳh-e-gulnar par ulfat ka ghaza kaun dekhega
nazar ke samne jo hai use sab dekh lete hain
kisi ke dil ke hujre ka tamasha kaun dekhega
tumhare bin udasi din pe aksar chha.i rahti hai
shab-e-furqat falak par chand taara kaun dekhega
mohabbat ka taqaza bas mohabbat hi mohabbat hai
mohabbat men zamane ka taqaza kaun dekhega
agar pesh-e-nazar teri nazar tera sarapa ho
kise kahte hain qaruni ḳhazana kaun dekhega
paḌhun tum ko mohabbat goshe goshe men nazar aa.e
lifafa khol kar ye ḳhatt-e-sada kaun dekhega
jise dekho vahi kahta hai tum ‘maqsud’ ho mere
kisi se kar liya hai main ne va.ada kaun dekhe dekhega
Leave a Reply