halat ke dabao se haijan men rahe
ham saari umr jang ke maidan men rahe
tanha.i milti aur kabhi ḳhud ko bhi dekhte
muddat guzar ga.i isi arman men rahe
jab tajrabon se TuuTe tavaqqo ke a.ine
jo maslahat-pasand the nuqsan men rahe
un ke nuqush ubhre hain qirtas-e-vaqt par
ba-iḳhtiyar ho ke jo ausan men rahe
ham apni sat.h chhoḌ ke tum tak na aa sake
lamhat-e-intiqam to imkan men rahe
TuuTa nahin hai shahr-e-nigaran se rabta
‘ghalib’ ki tarah ham bhi bayaban men rahe
lafzon ke da.eron men sameTe hayat ko
hairat-zada se dahr ke aivan men rahe
Leave a Reply