KHun-Rang Hui Sham Shafaq Se Bhi Ziyaada

ḳhūñ-rañg huī shaam shafaq se bhī ziyāda

dil Duub gayā duur ufaq se bhī ziyāda

laḌkī vo huī jaatī hai zaḳhmoñ kī dhanak sī

saada jo rahī saada varaq se bhī ziyāda

bachpan ke khilaune kī tarah mujh ko bhulā do

maiñ yaad rakhūñ tum ko sabaq se bhī ziyāda

kyā dekh liyā ḳhvāb ne ā.īna-e-ta.abīr

dil ho gayā faq chehra-e-faq se bhī ziyāda

‘pinhāñ’ yahāñ daulat ho ki tāqat ho ki shohrat

matlūb talab-gāroñ ko haq se bhī ziyāda

Leave a Comment