pindar-e-shab-e-gham ka darbar salamat hai
par sham-e-farozan ka inkar salamat hai
a.in-e-zaban-bandi zindan pe nahin laagu
zanjir salamat hai jhankar salamat hai
tum pa-ba-shikasta bhi afraz-sari dekho
dastur salamat hai dastar salamat hai
nashsha nahin paimana ankhen nahin dil dekho
miqdar salamat hai me.aar salamat hai
ab jo bhi nahin baaqi be-vaj.h nahin baaqi
ab jo bhi salamat hai be-kar salamat hai
Leave a Reply