
Syed Shakeel Desnavi
kya tum bhi tariqa naya ijad karo ho
ḳhud apna bana kar mujhe barbad karo ho
rakkho ho har ik baar fasane ko adhura
kab apne sitam shamil-e-rudad karo ho
lagta nahin dilchasp jo shirin ka fasana
kyuun zikr-e-vafa koshi-e-farhad karo ho
pal bhar ko tumhen ham se bhulaya nahin jaata
bhule se kabhi tum bhi hamen yaad karo ho
dekho ho kabhi aa ke ye virani-e-dil bhi
ankhen miri ḳhvabon se jo abad karo ho

Leave a Reply