jo chahun bhi to ab ḳhud ko badal sakta nahin huun
samundar huun kinaron se nikal sakta nahin huun
main yaḳh-basta fazaon men asir-e-zindagi huun
tiri sanson ki garmi se pighal sakta nahin huun
mire paanv ke niche jo zamin hai ghumti hai
to yuun ai asman main bhi sambhal sakta nahin huun
ḳhud apne dushmanon ke saath samjhauta hai mumkin
main tere dushmanon ke saath chal sakta nahin huun
vo pauda nafraton ka hai jahan chahe uga lo
mohabbat huun main har miTTi men phal sakta nahin huun
unhen laḌna paḌega mujh se jab tak huun main zinda
hisar-e-dushmanan se go nikal sakta nahin huun
khule hain raste kitne mire raste men ‘azmi’
magar main huun ki har sanche men Dhal sakta nahin huun
Leave a Reply