har ek barg-e-chaman mushk-bar aa.ega
ḳhizan ke ba.ad gul-e-nau-bahar aa.ega
bulandiyan to mashaqqat se haath aati hain
gulon ke saath yaqini hai ḳhaar aa.ega
mujhe yaqin hai kisi din to ai jafa-pesha
tujhe bhi meri vafaon pe pyaar aa.ega
hamara ishq karamat se kam nahin janan
tumhare husn pe is se nikhar aa.ega
agar main tum se tumhari tarah karun va.ade
tumhi batao tumhen e.atibar aa.ega
jahan pe ahl-e-junun tum ko raqs karte milen
usi navah men mera dayar aa.ega
jahan vatan ke shahidon ka tazkira hoga
hamara naam vahan baar baar aa.ega
tamam raat dar-e-mai-kada khula rakhna
suna hai koi tahajjud-guzar aa.ega
Leave a Reply