jab se is shahr-e-be-makan men huun
main tire ism ki amaan men huun
gumbad-e-sher men jo gunjti hai
main usi dard ki azaan men huun
main ne tanha.iyon ko pa liya hai
is liye ḳhvab hi ke dhyan men huun
titliyan rang chunti rahti hain
aur main ḳhushbuon ki kaan men huun
vahshaten ishq aur majburi
kya kisi ḳhaas imtihan men huun
ḳhvahishen saaya saaya bikhri hain
aur main dhuup ke makan men huun
main huun paikan-e-dard ai ‘ḳhurshid’
aur ik yaad ki kaman men huun
Leave a Reply