insan hai to kibr siin kahta hai kyuun ana
aadam to ham suna hai ki vo khaak se bana
kaisa mila hai ham siin ki ab lag hai anmana
sun kar hamari baat kuun karta hai haan na na
mukhde ki nau-bahar hui khat se ashkar
sabza na tha ye husn ka banjar tha par ghana
murda hai be-visal rahe go ki jagta
sota huun yaar saath so zindon men jagna
duuni bimari jab siin batate hain fahisha
mal mal ke jis qadar ki ghinante hain ubtana
yuun dil hamara ishq ki atish men khush hua
bhun kar tamam aag men khilta hai juun chana
nahin ab-o-gil sifat tire tan ke khamir ki
karta huun jaan o dil kuun laga us ki main sana
jab ‘abru’ ka byaah hua bakr fikr siin
tab shaeron ne naam rakha us ka but bana
Leave a Reply