
Gulzar
shaam se aaj saans bhari hai
be-qarari si be-qarari hai
aap ke baad har ghadi ham ne
aap ke saath hi guzari hai
raat ko de do chandni ki rida
din ki chadar abhi utari hai
shakh par koi qahqaha to khile
kaisi chup si chaman men taari hai
kal ka har vaqia tumhara tha
aaj ki dastan hamari hai

Leave a Reply