nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta
gulistan men koi sarkar hai aisa nahin lagta
yahan har jeb men ḳhvabon ki zar-muhren khanakti hain
ye duniya dard ka bazar hai aisa nahin lagta
ham apni jhonk men aage ki janib baḌhte jaate hain
hamare samne divar hai aisa nahin lagta
sar-e-pindar se pa-e-junun ka rabt gha.eb hai
ye piḌhi barsar-e-paikar hai aisa nahin lagta
main jaise ek rah-e-sust-rau ki sair karta huun
miri ranon tale rahvar hai aisa nahin lagta
umaD ke aaya to hai abr-e-girya matla-e-jan se
magar ye sa.iqa-bardar hai aisa nahin lagta
ba-yak jast-e-tasavvur bazm-e-janan men pahunchta hai
ye ‘arshad’ hijr ka bimar hai aisa nahin lagta
Leave a Reply