ye kis ne kah diya tujh se ki sahil chahta huun main
samundar huun samundar ko muqabil chahta huun main
vo ik lamha jo tere qurb ki ḳhushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paband-e-salasil chahta huun main
vo chingari jo hai mashshaq fann-e-sho.ala-sazi men
use raushan tah-e-ḳhakistar-e-dil chahta huun main
bahut be-zar hai umr-e-ravan sahra-navardi se
pa.e-kar-e-junun taaza mashaghil chahta huun main
na ye ḳhvahish ki vo miTTi men meri jazb ho jaa.e
na ḳhud ko dastan men us ki shamil chahta huun main
ajab bismil hai ‘ishrat’ apne qatil se ye kahta hai
sar-e-mahfil tujhe ai jan-e-mahfil chahta huun main
Leave a Reply