kal nashshe men tha vo but masjid men gar aa jaata
iman se kaho yaaro phir kis se raha jaata
murde ko jila lete girte ko utha lete
ik dam ko jo yaan aate to aap ka kya jaata
ye kahiye ki dhyan us ko aata hi nahin varna
mahshar se to sau fitne vo dam men utha jaata
mahfil men mujhe dekha to hans ke lage kahne
aane se har ik ke hai sohbat ka maza jaata
i.zaen ye paai hain maqdur agar hota
main rasm-e-taashshuq ko duniya se utha jaata
kyuun paas mire aa kar yuun baithe ho munh phere
kya lab tire misri hain main jin ko chaba jaata
kya jalva-numa vo mah kothe pe hua aa kar
kuchh aaj savere se suraj hai chhupa jaata
ye kahishen kyuun hotin ghabra ke agar ye dil
pahlu se nikal jaata aram sa aa jaata
achchha hua mahfil men ‘majruh’ na kuchh bola
vo haal agar kahta to kis se suna jaata
Leave a Reply