ik bosida masjid men
divaron mehrabon par
aur kabhi chhat ki janib
meri ankhen ghuum rahi hain
jaane kis ko dhund rahi hain
meri ankhen ruk jaati hain
lohe ke us khali hook par
jo khali khali nazron se
har ik chehra dekh raha hai
ik aise insan ka shayad
jo ik pankha le aaega
laega aur duur karega
masjid ki be-samani ko
khali hook ki virani par
main ne jab us hook ko dekha
meri nannhi phuul si beti
meri ankhon men daud aai
bholi maan ne us ki
apni pyari raj-dulari beti ke
donon kanon ko
apne hathon se chhed diya hai
phulon jaise kanon men phir
niim ke tinke daal diye hain
ummidon aason ke sahare
dil hi dil men soch rahi hai
jab ham ko allah hamara
thoda sa bhi paisa dega
beti ke kanon men us din
baliyan hongi bunde honge
main ne anthak mehnat kar ke
pankha ek kharid liya hai
masjid ke is khali hook ko
main ne pankha saunp diya hai
hook men pankha dekh ke mujh ko
hota hai mahsus ki jaise
meri beti baliyan pahne
ghar ki chhat par ghuum rahi hai
Leave a Reply