main asman pe bahut der rah nahin sakta
magar ye baat zamin se to kah nahin sakta
kisi ke chehre ko kab tak nigah men rakkhun
safar men ek hi manzar to rah nahin sakta
ye azmane ki fursat tujhe kabhi mil jaae
main ankhon ankhon men kya baat kah nahin sakta
sahara lena hi padta hai mujh ko dariya ka
main ek qatra huun tanha to bah nahin sakta
laga ke dekh le jo bhi hisab aata ho
mujhe ghata ke vo ginti men rah nahin sakta
ye chand lamhon ki be-ikhtiyariyan hain ‘vasim’
gunah se rishta bahut der rah nahin sakta
Leave a Reply