• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Barishen KHun Ki Tez Hain Tez Hain KHun Ki Aandhiyan

Barishen KHun Ki Tez Hain Tez Hain KHun Ki Aandhiyan

barishen ḳhuun ki tez hain tez hain ḳhuun ki andhiyan

chak-dar-chak uḌne lagin ḳhuun men ziist ki chhatriyan

raat petrol ki aag se shahr men yuun charaghan hua

kaanp kar bujh ga.iin dil ke raushan jharokon ki sab battiyan

be-aman ḳhalq curfew-zada roz-o-shab ke andhere men gum

apni gardan men Daale hue apne katbat ki taḳhtiyan

donon hi likh rahi thiin lahu se mire saneha qatl ka

ik taraf hamla-var astin ik taraf pasban vardiyan

gar yunhi aag daman se uThti rahi to jala Dalegi

husn-e-gul-rang ka pairahan ishq-e-gulnar ki dhajjiyan

jalti ankhon ke moti pighalte rahe aur ehsas ke

reg-zaron men tapti rahin mere ḳhvabon ki parchha.iyan

marg-e-amboh ka jashn-e-matam hai raushan karen ham ‘shahab’

phuljhaḌi ashk-e-ḳhush-rang ki taaza zaḳhmon ki mahtabiyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Be-KHwab in Aankhon Ke Manzar Bol paDte Hain

Agar Dard-E-Mohabbat Se Na Insan Aashna Hota

Dil Kiye tasKHir baKHsha Faiz-E-Ruhani Mujhe

Jalwa Paband-E-Nazar Bhi Hai Nazar-Saz Bhi Hai

Ek shaKHs Ba-Zamir Mera Yar Mushafi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet