kisi din jab thakan se
chuur ho kar aungi
phir main tire dar par
tire shane pe sar rakh kar
main sab ranj-o-alam apne
main apni saari majburi
main apni saari mahrumi
phir ashkon ko bahaungi
vo mera dard dukh saara
ragon men laava ban kar
jo ubalta hai
tu mera sain hai
aur shaah mera hai
main lafzon ki bhikaran huun
ye kaasa khali hai mera
mujhe khairat lafzon ki mire sain
zara dena
mire kaase ko bhar dena
Leave a Reply