kis tarah naala kare bulbul chaman ki yaad men
ghis gai us ki zaban to shikva-e-sayyad men
dad-khvahon ki agar pursish hui roz-e-jaza
sab se pahle aenge ham arsa-e-faryad men
kya lipat jaaen tira qamat samajh kar is ko ham
ye nazakat ye sabahat hai kahan shamshad men
kaam mashuqon se bhi ashiq ke leta hai ye ishq
kyuun na shirin jaan de apni gham-e-farhad men
daman-e-dil ai nasim-e-gulshan-e-jannat na khinch
lag gaya hai ji hamara is kharab-abad men
hashr tak bhi khinch nahin sakne ki surat yaar ki
gar yunhi hujjat rahegi mani-o-bahzad men
kucha-e-janan men yaaro kaun sunta hai miri
mujh se vaan phirte hain lakhon daad aur bedad men
sher kahna aap se ‘ghafil’ kabhi aata nahin
umr ik jab tak na khoi khidmat-e-ustad men
Leave a Reply