kya dastan thi pahle bayan hi nahin hui
phir yuun hua ki sub.h azaan hi nahin hui
duniya ki dashta se zyada na thi mujhe
yuun saari umr fikr-e-ziyan hi nahin hui
gul-ha-e-lutf ka use ambar karna tha
kam-baḳht aarzu ki javan hi nahin hui
ta-sub.h meri laash rahi be-kafan to kya
banu-e-sham nauha-kunan hi nahin hui
Leave a Reply