mere mahbub tum ho yaar tum ho dil-ruba tum ho
ye sab kuchh ho magar main kah nahin sakta ki kya tum ho
tumhare naam se sab log mujh ko jaan jaate hain
main vo khoi hui ik chiiz huun jis ka pata tum ho
mohabbat ko hamari ik zamana ho gaya lekin
na tum samjhe ki kya main huun na main samjha ki kya tum ho
hamare dil ko bahr-e-gham ki kya taqat jo le baiThe
vo kashti Duub kab sakti hai jis ke na-ḳhuda tum ho
bichhaḌna bhi tumhara jite-ji ki maut hai goya
use kya ḳhaak lutf-e-zindagi jis se juda tum ho
musibat ka ta.alluq ham se kuchh bhi ho to rahat hai
mire dil ko ḳhuda vo dard de jis ki dava tum ho
kahin is phuTe-munh se bevafa ka lafz nikla tha
bas ab ta.anon pe ta.ane hain ki be-shak ba-vafa tum ho
qayamat aa.egi ya aa ga.i is ki shikayat kya
qayamat kyuun na ho jab fitna-e-roz-e-jaza tum ho
ulajh paḌne men kakul ho bigaḌne men muqaddar ho
palaTne men zamana ho badalne men hava tum ho
vo kahte hain ye saari bevafa.i hai mohabbat ki
na ‘muztar’ be-vafa main huun na ‘muztar’ be-vafa tum ho
Leave a Reply