suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
suna hai sher ka jab pet bhar jaae to vo hamla nahin karta
darakhton ki ghani chhanv men ja kar let jaata hai
hava ke tez jhonke jab darakhton ko hilate hain
to maina apne bachche chhod kar
kavve ke andon ko paron se thaam leti hai
suna hai ghonsle se koi bachcha gir pade to saara jangal jaag jaata hai
suna hai jab kisi naddi ke paani men
bae ke ghonsle ka gandumi rang larazta hai
to naddi ki rupahli machhliyan us ko padosan maan leti hain
kabhi tufan aa jaae, koi pul tuut jaae to
kisi lakdi ke takhte par
gilahri, sanp, bakri aur chita saath hote hain
suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
khudavanda! jalil o mo’tabar! daana o biina munsif o akbar!
mire is shahr men ab jangalon hi ka koi qanun nafiz kar!
koi dastur nafiz kar!
Leave a Reply