maqdur nahin us ki tajalli ke bayan ka
juun shama sarapa ho agar sarf zaban ka
parde ko taayyun ke dar-e-dil se utha de
khulta hai abhi pal men tilismat jahan ka
tuk dekh sanam-khana-e-ishq aan ke ai shaikh
juun sham-e-haram rang jhalakta hai butan ka
is gulshan-e-hasti men ajab diid hai lekin
jab chashm khuli gul ki to mausam hai khizan ka
dikhlaiye le ja ke tujhe misr ka bazar
lekin nahin khvahan koi vaan jins-e-giran ka
hasti se adam tak nafas-e-chand ki hai raah
duniya se guzarna safar aisa hai kahan ka
‘sauda’ jo kabhu gosh se himmat ke sune to
mazmun yahi hai jaras-e-dil ki fughan ka
Leave a Reply