bahut ḳhush the sahil qarib aa gaya
safina kinare se Takra gaya
hai behad ḳhatarnak bahr-e-jahan
jo insan bhi is men Duuba gaya
tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham
gaya shaiḳh ab vo zamana gaya
mujhe zindagi ki dua.en na do
main aisi duaon se ukta gaya
na samho kisi ki kisi baat ko
tumhen kaun ye baat samjha gaya
vafa.en nahin vo jafa.en nahin
nizam-e-jahan kuchh badal sa gaya
ye chhup chhup ke milna bhi hai ik azaab
koi aa gaya vo koi aa gaya
yahan the to ‘sarshar’ kya kuchh na the
ga.e vo to ḳhat bhi na bheja gaya
Leave a Reply