khayal vo bhi mire zehn ke makan men tha
jo aaj tak na makin-e-guman ke dhyan men tha
vo dekhta raha hasrat se asman ki taraf
chhupa hua vo parinda jo saeban men tha
zamin pe koi samaat thi muntazir meri
sada ki shakl muallaq main asman men tha
mira nasib to khushiyon ki bhiid men aksar
charagh ki tarah raushan kisi dukan men tha
kabhi mujhe bhi to karna padega samjhauta
bahut dinon se ye khadsha mire guman men tha
tire saval ka kaise javab deta main
ki jab main khoya hua fikr ki udaan men tha
vahi to aag lagata phira gulistan men
jo ‘ahsan’ ahl-e-chaman men na baghban men tha
Leave a Reply