koi majnun koi farhad bana phirta hai
ishq men har koi ustad bana phirta hai
jis se ta.abir ki ik iinT uTha.i na ga.i
ḳhvab ke shahr ki buniyad bana phirta hai
pahle kuchh log parindon ke shikari the yahan
ab to har aadmi sayyad bana phirta hai
dhuup men itni suhulat bhi ghanimat hai mujhe
ek saaya mira ham-zad bana phirta hai
baagh men aisi havaon ka chalan aam hua
phuul sa haath bhi faulad bana phirta hai
naqsh-bar-ab to ham dekhte aa.e lekin
naqsh ye kaun sa barbad bana phirta hai
Leave a Reply