nahin ḳhayal to phir intizar kis ka hai
ye zehn-o-dil ye bila-vaj.h baar kis ka hai
bata.e kaun ye ahl-e-ḳhirad se mahfil men
chaman hai kis ke liye ḳhar-zar kis ka hai
hamara naam to ghairon men ho gaya shamil
jo log apne hain un men shumar kis ka hai
kisi ko daulat-e-duniya kisi ko izzat-e-nafs
ḳhuda ki den pe ab iḳhtiyar kis ka hai
urus-e-maut se jaldi hai kis ko milne ki
qadam baḌha hua ye su-e-dar kis ka hai
farishte aa ke ‘vasiyya’ se bole marqad men
lahad men aap ko ab intizar kis ka hai
Leave a Reply