hain kis liye udaas koi puchhta nahin
rasta ḳhud apne ghar ka hamen sujhta nahin
naqsh-e-vafa kisi ka koi DhunDhta nahin
ahl-e-vafa ka phir bhi bharam TuTta nahin
ahl-e-hunar ki baat thi ahl-e-nazar ke saath
ab to koi bhi un ki taraf dekhta nahin
ham se hui ḳhata to bura mante ho kyuun
ham bhi to aadmi hain koi devta nahin
daman tumhara haath se jaata raha magar
ik rishta-e-ḳhayal hai ki TuTta nahin
suraj ke nuur par bhi andheron ka raaj hai
ai ‘dard’ duur tak mujhe kuchh sujhta nahin
Leave a Reply