mahfil men aaj marsiya-khvani hi kyuun na ho
ankhon se bahne dijiye paani hi kyuun na ho
nashshe ka ehtimam se rishta nahin koi
paigham us ka aae zabani hi kyuun na ho
aise ye gham ki raat guzarna muhal hai
kuchh bhi suna mujhe vo kahani hi kyuun na ho
koi bhi saath deta nahin umr-bhar yahan
kuchh din rahegi saath javani hi kyuun na ho
is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikal
piine ko kuchh bhi chahiye paani hi kyuun na ho
duniya bhi jaise taash ke patton ka khel hai
joker ke saath rahti hai raani hi kyuun na ho
tasvir us ki chahiye har haal men mujhe
pagal ho sar-phiri ho divani hi kyuun na ho
sona to yaar sona hai chahe jahan rahe
biivi hai phir bhi biivi purani hi kyuun na ho
ab apne ghar men rahne na denge kisi ko ham
dil se nikal denge nishani hi kyuun na ho
Leave a Reply