kal raat dhale ye socha main ne
main apne khazane saaf kar luun
kis kis ka hai qarz mujh pe vajib
is ka bhi zara hisab kar luun
almari ki chabi kho gai thi
vo zang bhari purani chabi
main ne use kone kone dhunda
mujh ko to nahin mili kahin bhi
main ne jo nazar utha ke dekha
almari to band hi nahin thi
mitti ki tahon men lipte jaale
ik khaak ka dher lag rahe the
vo saari nishaniyan hamari
vo saari kahaniyan hamari
shoale ki tarah bhadakne vaali
dhadkan ki tarah dhadakne vaali
aram ki niind so rahi thiin
un men koi raushni nahin thi
un men kahin zindagi nahin thi
Leave a Reply