khiḌkiyan kholin to mujh ko aaj andaza hua
mera hi saaya tha vo divar se lipTa hua
aaj ki shab bhi palaT aa.e bina dastak diye
so raha tha ghar men koi raat ka jaaga hua
is gali ke moḌ pe baiTha huun kitni der se
jis tarah koi musafir huun thaka-hara hua
jis taraf bhi ab uḌa le jaa.en mujh ko andhiyan
ek patta huun hava ke dosh pe rakkha hua
aur bhi kuchh duur aa pahunche ham apne shahr se
lag raha tha rasta jaana hua bujha hua
so gaya hai mere siine se laga kar apna sar
ik khilaune ke liye bachcha koi rota hua
be-ta.alluq sa paḌa tha mausamon ke samne
sabz patta koi apni shaḳh se TuuTa hua
dhund men lipTi hui thiin apni tahriren sabhi
paḌh nahin paa.e ‘zafar’ ham haath ka likkha hua
Leave a Reply