sar-e-darbar ḳhamoshi tah-e-darbar ḳhushiyan hain
dar-o-divar ki baten dar-o-divar ḳhushiyan hain
tujhe takna tujhe sunna tira hansna machal jaana
hamare gham ke angan men faqat do-char ḳhushiyan hain
ka.i hain dastanen dafn yaan yaron ke siine men
kahin par gham hai ḳhushiyon men kahin gham-ḳhvar ḳhushiyan hain
amir-e-shahr kya jaane jo guzri hai gharibon par
yahan par gham ke phere hain vahan har baar ḳhushiyan hain
na jab tak ham samajh paa.en hamara maqsad-e-taḳhliq
jahan men jo mayassar hon sabhi be-kar ḳhushiyan hain
baḌi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtas jo main ne
kahani men jo rakkhe hain sabhi kirdar ḳhushiyan hain
jo mujh pe shart ho ahmad main puuri kar dikha.unga
sar-e-inkar gumnami pas-e-iqrar ḳhushiyan hain
Leave a Reply