sar ko chaha bhi uthana to uthaya na gaya
kar ke sajda tira phir hosh men aaya na gaya
jalva-e-tur ka ho dekhne vaala be-khud
ye bhi ik raaz tha ab tak jo bataya na gaya
tu ne kis naaz se dekha tha azal men in ko
aaj tak hosh men divanon se aaya na gaya
ta-dam-e-zist na aaya mire naame ka javab
nama-bar mujh ko barabar hai gaya ya na gaya
vo mitaenge bhala kya miri hasti ‘afqar’
dahr men naqsh-e-vafa jin se mitaya na gaya
Leave a Reply